Friday, July 21, 2006

Rakhi Songs

Rakhi songsā€¦ the melodic tunes of happiness, joy and togetherness brings out the true spirit of the festival of Raksha Bandhan. Revive the happy times and share some moments with your dear brothers and sisters.

Here are some of the greatest and evergreen Rakhi Songs to make this Raksha Bandhan musical and cheerful. Dedicate one of these songs to your dear brother and along with colorful Rakhi Gifts to celebrate the festival of Raksha Bandhan.

Bringing back the memories of yester years these Rakhi songs are perfect for all age groups and are appreciated and loved universally.

Phoolon Ka Taaron Ka
Hindi Movie/Album Name: HARE RAMA HARE KRISHNA
Singer(s): KISHORE KUMAR

Phoolon Ka Taaron Ka Sabka Kehna Hai
Ek Hazaron Mein Meri Behna Hai
Sari Umar Hame Sang Rehna Hai

Ye Na Jaana Duniya Ne Tu Hai Kyon Udaas
Teri Pyaari Aankhon Mein Pyar Ki Hai Pyaas
Aa Mere Paas Aa Keh Jo Kehna Hai
Ek Hazaron Mein ...

Jabse Meri Aankhon Se Ho Gayi Tu Door
Tabse Sare Jeevan Ke Sapne Hain Choor
Aankhon Mein Neend Na Dil Mein Chaina Hai
Ek Hazaron Mein ...

Dekho Hum Tum Dono Hain Ek Dali Ke Phool
Maein Na Bhoola Tu Kaise Mujhko Gai Bhool
Aa Mere Paas Aa Keh Jo Kehna Hai
Ek Hazaron Mein ...

Jhula Bahon Ka
Hindi Movie/Album Name: DOLI SAJA KE RAKHNA
Singer(s): SADHANA SARGAM & SREENIVAS

Girl:
Jhula Bahon Ka Aaj Bhi Do Na Mujhe
Jhula Bahon Ka Aaj Bhi Do Na Mujhe
Bhaiyaa Goud Mein Uthao Na Aaj Mujhe
Kad Se Hoon Badi Mann Se Chhoti Main
Aaj Bhi Maan Lo Na Zid Meri
Jhula Bahon Ka Aaj Bhi Do Na Mujhe
Bhaiyaa Goud Mein Uthao Na Aaj Mujhe
Kad Se Hoon Badi Mann Se Chhoti Main
Aaj Bhi Maan Lo Na Zid Meri
Jhula Jhula

Jhula
Jhula Jhula

Boy:
Tu Khushi To Qarar To Bahar Hai
Dam Se Tere Hi To Ghar Pe Nikhar Hai
Tu Khushi To Qarar To Bahar Hai
Dam Se Tere Hi To Ghar Pe Nikhar Hai...

Girl:
Main Shor Sharaba Dhoom Karoongi
Thumak Thumak Nachoongi
Chanchal Koyal Ke Jaise Main To
Chahek Chahek Jaoongi
Saare Rang Dhanak Ke
Main Chura Loongi
Hoo, Saare Rang Dhanak Ke
Main Chura Loongi
Hoo, Taare Palak Ke Tod Laoongi

Chup Chup Ke Meri Hansi Na Udana
Jhula Bahon Ka Aaj Bhi
Jhula Jhula, Jhula Jhula
Jhula Bahon Ka Aaj Bhi Do Na Mujhe
Bhaiyaa Goud Mein Uthao Na Aaj Mujhe
Kad Se Hoon Badi Mann Se Chhoti Main
Aaj Bhi Maan Lo Na Zid Meri
Jhula Bahon Ka Aaj Bhi Do Na Mujhe

Boy:
Tu Khushi To Qarar To Bahar Hai
Dam Se Tere Hi To Ghar Pe Nikhar Hai...

Girl:
Ek Nahin, Do Nahin, Teen Hain Bhai
Teeno Jaise Mere Seepahi
Meri Shararat Meri Tabaahi
Bachaa Le Khuda
Lekin Inka Gussa Aisa
Gad Gad Gadje Badal Jaisa
Phir Barsaaye Pyaar Bhi Vaisa
O Mere Khuda
Mooti Hoon Main In Aankhon Ka

Phool Hoon Inke Baag Ka
Jhula Bahon Ka Aaj Bhi Do Na Mujhe
Bhaiyaa Goud Mein Uthao Na Aaj Mujhe
Kad Se Hoon Badi Mann Se Chhoti Main
Aaj Bhi Maan Lo Na Zid Meri
Jhula Bahon Ka Aaj Bhi Do Na Mujhe
Bhaiyaa Goud Mein Uthao Na Aaj Mujhe

Boy:
Tu Khushi To Qarar To Bahar Hai
Dam Se Tere Hi To Ghar Pe Nikhar Hai
Tu Khushi To Qarar To Bahar Hai
Dam Se Tere Hi To Ghar Pe Nikhar Hai...

0 Comments:

Post a Comment

<< Home